AajChanay ka PulaoChawalRs 195Monday ke liyeOrder karein

Survey

Aap ka lunch: aik minute ka sawal.

MEALAWO Karachi mein ghar ke khane ka silsila hai. Khana ghar ki khawateen pakati hain, aur ilaqe ke naujawan aap tak pohanchate hain.

Aap ke market mein kaam shuru karne se pehle hum ye samajhna chahte hain ke aap log rozana lunch mein karte kya hain, aur kis rate par karte hain. Bas isi liye ye survey hai.

Aik minute lagta hai

Number kisi ko nahi dete

Baad mein khana muft chakhein

Aap kaun hain

Muft khane wale din ka message isi par aayega

Sawal 1: rozana lunch ka kya karte hain
Sawal 2: abhi aik waqt ke khane par kitna kharch hota hai
Sawal 3: ghar ka bana hua khana kis rate par lena chahenge

Ghar wala taste, roz taza, aap ki dukan par pohancha hua.

Sawal 4: aap ke sath aur kitne log lenge

Jitne log, utna sasta rate hota hai.

Aap ke WhatsApp par 6 hindson ka code aayega, sirf ye tasdeeq karne ke liye ke number aap ka hai. Koi paisa nahi lagta. Aap ka number kisi aur ko nahi diya jata.

Is ke baad kya hoga

  1. 1Hum sab ke jawab jama karengeHamare bande markets, malls aur offices mein ye survey le rahe hain. Jab is market ke kaafi jawab aa jayenge, hum aage barhenge.
  2. 2Aik din ka elaan hogaWo din isi WhatsApp number par bataya jayega jo aap ne yahan likha hai. Koi call center nahi, seedha message.
  3. 3Us din khana muft aayegaJo log abhi hotel ya dhaba se lunch mangwate hain aur hum se lene mein dilchaspi rakhte hain, unhein us din hamara khana bilkul muft chakhaya jayega. Aap ki apni dukan par.
  4. 4Phir aap faisla kareinPasand aaye to baat aage barhayen. Pasand na aaye to koi baat nahi, aap ka kuch bhi nahi jata. Na koi advance, na koi fees, na baar baar phone.

Parchi bhi de sakte hain

Ye form bharna zaroori nahi. Hamare bande ke paas jo kaghaz hai us ke neeche wali parchi bhar kar wapas de dein, wohi aap ka jawab hai. Dono barabar hain.